Zindagi Mein Aise Logon Ko Qareeb Rakho

in WORLD OF XPILAR • 8 days ago

Maine ek baat mehsoos ki hai ke insaan par uske aas paas ke logon ka bohat asar hota hai. Kuch logon ke saath baith kar dil ko sukoon milta hai. Unse baat karo toh lagta hai ke chalo yaar, koi toh hai jo mujhe samajhta hai. Aur kuch log aise hote hain jin se milne ke baad banda apni hi baaton aur faislon par shak karne lagta hai.

Mujhe personally aise log bohat achay lagte hain jo meri achaiyon ko dekhte hain, meri ghaltiyon ko samajhte hain aur zaroorat par mujhe sahi baat bhi keh dete hain. Kyun ke mere khayal mein apna woh nahi hota jo har baat par aap ki haan mein haan milaye, balkay apna woh hota hai jo aap ko ghalat raaste par jaate dekh kar rok le, magar is tarah ke aap ka hausla bhi na tootay.

Kabhi kabhi insaan khud bhi apne aap se haar raha hota hai. Aise mein agar koi keh de ke koi baat nahi, dobara koshish karo, toh bohat farq parta hai. Mujhe lagta hai ke aise log zindagi mein hon toh mushkil waqt bhi kuch aasaan lagne lagta hai.

Lekin kuch logon ke saath reh kar aisa mehsoos hota hai jaise har waqt koi imtehan chal raha ho. Har baat ki wazahat do, har kaam ka jawab do, aur phir bhi saamne wala aap ko ghalat hi samjhe. Sach kahun toh aise rishtay insaan ko andar se thaka dete hain. Phir banda apni khushi se zyada doosron ko safai dene mein laga rehta hai.

Main yeh nahi kehta ke kisi se kabhi ghalti nahi hoti ya har baat par rishta khatam kar dena chahiye. Bas itna zaroor maanta hoon ke apne sukoon ki bhi koi qeemat hoti hai.

Ab meri koshish yahi hoti hai ke un logon ko qareeb rakhoon jin ke saath main khul kar reh sakoon, apni ghalti maan sakoon aur khud ko har waqt sahi sabit karne ki zaroorat mehsoos na karoon. Aakhir apne wohi toh hote hain jin ke saamne aap ko har waqt apna acha hona sabit nahi karna parta.

Thumbnail: Chatgpt