Aisi Cheezein Banao Jo Waqt Ke Saath Qaim Rahein
Maine ek baat mehsoos ki hai ke jab hum kisi cheez ko lambe arsay tak saath le kar chalne ka sochte hain, toh hamare aaj ke faislay bhi badal jaate hain.
Misal ke taur par, agar main paisa invest karne ka sochoon aur mera maqsad sirf chand din mein munafa kamana ho, toh shayad main jaldi mein faisla karoon. Lekin agar main aglay 10 ya 20 saal ko dekh kar invest karoon, toh meri soch alag hogi. Main aisi cheezon ko tarjeeh doonga jin mein waqt ke saath barhne ki gunjaish ho, na ke har roz price dekh kar pareshan hota rahoon.
Rishton mein bhi kuch aisa hi hai. Agar main kisi ke saath zindagi guzarna chahta hoon, toh mere liye sirf achi shakal ya chand khoobsurat baatein kaafi nahi hongi. Main yeh dekhna chahoon ga ke us insaan ki soch kaisi hai, woh mushkil waqt mein mera saath kaise deta hai aur kya hum ek doosre ko samajh kar aage barh sakte hain.
Sehat ke maamlay mein bhi main yahi sochta hoon. Agar maqsad sirf jaldi body banana ho, toh insaan apne aap par zaroorat se zyada zor daal sakta hai. Lekin agar main chahta hoon ke saalon tak sehatmand aur active rahoon, toh mujhe aisi exercise aur routine apnani hogi jo main lambe arsay tak jaari rakh sakoon, baghair apne jism ko nuqsan pohanchaye.
Mere khayal mein hum aksar foran milne wale faiday ke peechay bhaagte hain aur yeh bhool jaate hain ke aaj ke chhotay faislay hi kal ki zindagi banate hain.
Main ab yeh samajhta hoon ke har cheez ka nateeja foran milna zaroori nahi. Kuch cheezon ko waqt dena parta hai, un par mehnat karni parti hai aur sabr se kaam lena parta hai.
Aakhir mein, mere liye asal kamyabi woh nahi jo chand din chamkay, balkay woh hai jo waqt guzarne ke baad bhi apni qeemat rakhti ho. Aisa kuch banao jo sirf aaj ke liye nahi, aane wale kal ke liye bhi kaam aaye.
Thumbnail: Chatgpt

Lo que me funciona a mí con la salud es justo eso: elegir rutinas que pueda sostener años, no las que prometen resultados en tres semanas. Me quedo pensando en tu frase de que los pequeños decisiones de hoy construyen la vida de mañana, porque en el cuerpo pasa exactamente igual. ¿Qué ejercicio encontraste que sí aguantás en el tiempo?